Bane chaahe dushman zamaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Bane chaahe dushman zamaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Woh khwaabon ke din woh kitaabon ke din
Sawaalon ki raaten jawaabon ke din
Kayi saal humne guzaare yahaan
Yahin saath khele hue hum jawaan, hue hum jawaan
Tha bachpan bada aashiqaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Bane chaahe dushman zamaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Na bichhdenge mar ke bhi hum doston
Humein dosti ki qasam doston
Pata koyi poochhe to kehte hain hum
Ke ek duje ke dil me rehte hain hum, rehte hain hum
Nahin aur koyi thikaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Bane chaahe dushman zamaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara
Â
Bane chaahe dushman zamaana humaara
Salaamat rahe dostaana humaara

Recent Comments