Ack:- Jai Purohit
Har khushi hai logo ke Daman me,
Par ek hansi ke liye waqt nahi.
Din rat daudti duniya me,
Jindagi ke liye hi waqt nahi. !
Maa ki lori ka ahsaas to hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare riston ko to hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi. !
Sare nam mobile me hain,
par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen,
jab apano ke liye hi waqt nahi. !
Ankhon me hai nind badi,
par sone ko bhi waqt nahi.
Dil hai gamo se bhara hua,
par rone ko bhi waqt nahee. !
Jindagi ki daud me aise daude,
ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ahsason ki kya kdar karen,
jab apane sapano ke liye hi waqt nahi. !
Tu hi bata E jindage,
is jindagi ka kya hoga.
Ki har pal marane walon ko,
jine ke liye bhi waqt nahi…….
Ki har pal marane walon ko,
jine ke liye bhi waqt nahi. !

Recent Comments