Woh suvidha ki pani puri, woh pachvati ki chaat,
Woh CTF ka ice cream, Wah usme thi kuch baat.

Woh Ras ranjan ki mithai, woh Swagath ka dosa,
Woh Honest ki pav bhaji aur Manek chowk ka samosa.

Woh rikshaw ka ‘suffer’, woh Kankaria ki hawa,
Woh Law garden ke kante aur Market ka sama.

Woh december ki zara si sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.

Woh holi ki masti, woh navratri ka garba,
Woh diwali ke patakhe aur ganpati ka shor sharaba.

Woh C.G.road ka mahol, woh Vijay ki leheren,
Woh doobte suraj ka nazara, Wah uske kya kehene.

Woh Bakers ke puff, woh Mehta ki chai,
Woh Oswal ke Jalebi, woh Raipur ka “Undhayu”.

Woh bachpan ki yaaden, woh gotion kaa khel,
Woh ATIRA ke jhaadiyan, jahaa hothey they mel.

Woh Rajashree ke Movies aur Drive-in mein Weekend,
Woh CEPT ka nazara aur SAKAR buildings.

Woh City Pulse cinema ke queue, woh black ki pink ticket,
Woh Karnavati club ka maidan, jahan bachche practice karte hain cricket.

Itni cheezen kehene ke baad,
aur kitni karoon mein baat,

Yeh shehar hain mera apna,
jiska naam hai A H M E D A B A D!!!!